Sunday, January 23, 2011

Khatu Shyamji Dwitiya Varshik Utsav!!


Sai Darshan Mandir mein Dinank 27/02/2011 Ravivar ke din Khatu Shyamji ka Dwitiya Varshik Utsav badi dhoom dhaam se manaya jaa raha hai.
Mangal Kalashdhari Mahilaye, Nishandhari Bhakt, Jhanki, Band Baja ke sath Bhavya Nishan Yatra subah 9 baje Chincholi Hanuman Mandir se Malad Shopping Centre.
Vishal Bhajan

Sandhya Shaam 4 baje se.
Amantrit Kalakar Shree Sanjay Parikh (Jaipur), Shree Rajuji Khandelwal (Mumbai) avam Sthaniya Kalalkar.

Shyam Prabhu ke Dwitiya Varshik Utsav ke Uplaksh mein Nishan Yatra, Akhand Jyot, Naynabhiram Jhanki avam Bhajano ka karyakarm hetu Aap Sabhi Shyam Premi Sadar Amantrit hain..

Darshan Abhilashi:- Shree Darshan Mandir Parivaar.

Tuesday, September 7, 2010

Bhadimavas par Dadiji ka Mangal Paath!!

दादी जी की असीम अनुकम्पा और प्रेरणा से हम इस लायक हुए कि दादी जी का भादी मावस का पर्व धूम धाम से मना सके!!

Sai Darshan Mandir mein Bhadimavas par Shri Rani Sati Dadiji ke Anupam Shringar ke Darshan. Jaat Puja Pratah 06:00 baje se aur Mangal Paath Sandhya 04:00 baje se.

भादी मावस कल है, हम सभी भक्तो से आग्रह करते है की अपने कीमती समय में से कुछ समय निकाल कर आइए और इस पावन पर्व और मंगलमय बेला में दादी जी का गुणगान कर के पुण्य के भागीदार बने !

दादी जी की कृपा आप सभी भक्तो पर हमेशा बनी रहे !!
!!जय दादी की!!

Friday, September 3, 2010

Ekadashi par Shyam Baba Kirtan!!

‎04/09/2010 Ekadashi par Shyam Baba ka Alokik Shringar, Jyot sang Chappan Bhog ke Darshan.
Kolkatta ke Suprasidh Gayak "Sanju Sharma" dwara Kirtan raat 8 baje se Sai Darshan Mandir, Malad (W) mein.

Sabhi Shyam Premiyon se nivedan hai kripya samay se padharkar Bhajan Kirtan ka labh lein.

!! JAI SHREE SHYAM !!

Wednesday, August 25, 2010

Shree Saichartira Akhand Parayan

Prativarsh ki tarah is varsh bhi Shree Saichartira ka Akhand Parayan Shanivaar tarik 28-08-2010 Madhyan Aarti ke baad shuru hokar Ravivar dupehar tak pura hoga.
Is subh avsar ka aap sabhi bhaktgan labh lein..

Shree Saicharitra Akhand Parayan mein aap sabhi sadar
Aamantrit hain
..

!! OM SAI RAM !!

Thursday, August 12, 2010

Sai Baba at Malad gets a Chandi ka Sinhasan!!


Mumbai ke Malad me Shri Sai Darshan Mandir me Baba ke Bhakto ne Sai Baba ko Chandi ke Sinhasan par virajman kiya..

Wednesday, July 14, 2010

Pranpratistha of Babosa Maharaj, Dattatrey Bhagwan & Jalaram Bappa!!


Aap Sabhi ko yeh batate hue bada harsh ho raha hai ki Baba ki kripa se Shree Babosa Maharaj, Dattatreya Bhagwan aur Jalaram Bappa ke Mandir ki ishtapna 19/07/2010 Somwaar ke din subah 09:15 baje Shree Sai Darshan Mandir Malad (W), Mumbai mein hone jaa rahi hai..


Aap Sabhi Bhaktgan Sahparivaar Isht Mitro Sahit Sadar Amantrit hain..

!! OM SAI RAM !!

Wednesday, June 16, 2010

“Shree Jin Maata Pranpratistha Mahoutsav”

“Shree Jin Mata Pranpratistha Mahoutsav”

Aap Sabhi ko yeh batate hue bada harsh ho raha ki puri Mumbai mein "Jin Mata" ke pratham Mandir ki Isthapna Sai Darshan Mandir, Malad mein 24/06/2010 Guruvaar ke din hone jaa rahi hai..

Gaaje Baaje ke sath “Bhavya Shobha Yatra” Subah 9 baje Chincholi Hanuman Mandir, Malad (W) se aayojan sthal Shree Sai Darshan Mandir tak jayegi.

Dupehar 12 bajkar 3 min par pure vidhi vidhaan ke sath Jin Mata ki Istahpna ki jayegi.

Mataji ka Alokik Shringar, Jyot aur Chappan Bhog ke Darshan.


Shaam 4 baje se “Shree Jin Charitra Manas Mangal Paath” Shri Ujwal Khakoliya dwara .

Bhajan Sandhya Shaam 6 baje se Shri Satish Dehra & party avam Shri Rajuji Khandelwal
dwara tatpaschat Mahaprasad..

Aap Sabhi Bhaktgan Sahparivaar Isht Mitro Sahit sadar Aamantrit hain..

Jai Jin Mata Ki..

Thursday, June 3, 2010

LAUNCHING AND SAI SANDHYA AT SAI DARSHAN MANDIR!!


You all are cordially invited with family and friends for the launching of Sai Bhajan Music Album " Sai Ki Nazren Karam" on 10th June 2010, 7.30 pm at Sai Darshan Mandir, Malad (W). Mumbai.

Famous Sai Bhajan and Bollywood Singer Ms Anupama Deshpande has kindly consented to grace the Occasion.

Launching will be followed by LIVE PERFORMANCE by the latest singing sensation
WASIM KHAN



For more Details please feel free to contact Mr Naresh Kumar / Neeraj Khetan on +919711992238 / +919702781487

Saturday, April 3, 2010

Bhajan Sandhya by Falguni Pathak on 30/04/2010



A Grand Bhajan Sandhya in the presence of our Guruji from Mathura, Vrindavan Aacharya Shri Parvati Vallabhji Maharaj by Dandiya Queen of India, " Falguni Pathak" in co-ordination with Tushar Trivedi and the Tha Thaiya team on 30/04/2010 from 06:00pm to 10:00 pm at Sai Darshan Mandir, Malad (W). Mumbai.


We cordially invite you with family and friends for this holy ocassion.

Jay Shri Krishna..
Radhe Radhe!!

Tuesday, January 19, 2010

Khatu Shyamji Varshik Utsav!!

Khatu Shyamji ka Pratham Varshik Utsav 09/02/2010 Sai Darshan Mandir,
Malad (W) mein.


Nishaan avam Mangal Kalash Shobha Yatra at 09:00 am from Chincholi Hanuman Mandir to Shree Sai Darshan Mandir. Helicopter se Phoolon ki Varsha. Bhajan Sandhya from 04:00 pm onwards by renowned singers from Mumbai Shri Rajuji Khandelwal & Saket Bairoliya. Aarti of Shree Shyam Baba at 07:30PM continued with Bhajan Sandya with one of the best singers from Kolkata "Shri Sanjay Sharma" in Co-ordination with Shree Shyam Seva Kendra and Ganesh Poddar (Sound & Musician Team) followed by "Phoolon ki Holi" & Mahaprasad.

For More Details feel free to Call Mr. Neeraj Khetan / Mr. Vinay Todi at +919702781487 or +919820012428

Waiting for your response................
Jai Shree Shyam.

26/01/2010 Ekadashi par Baba ka Kirtan

Padharo Sahparivaar 26/01/2010 Budhvaar Ekadashi ke din Shyam Baba ka Anupam Shringar aur Kirtan raat 09:00 baje se 11:30 baje tak Sai Darshan Mandir mein.

Jay Baba Ki...

Saturday, July 25, 2009

"About Sai Darshan Mandir"

Sai Darshan Mandir situated in Malad (W) on S.V. Road, behind Malad Shopping Centre and near Railway Station.

Yahan par aap Sabhi Devi Devtaon ke Darshan ek hi jagah par kar sakte hain.

Mandir mein Virajit Devi Devta:- Shree Babosa Maharaj, Shani Dev, Hanumanji, Dattatrey Bhagwan, Jalaram Bappa, Pitra Dev, Sitla Mata, Rani Sati Dadi, Shankarji, Sai Baba, Ambe Mata, Ganeshji, Shyam Baba, Jin Mata, Bhairavnathji, Ram Darbar avam Radhe Krishna.

Paschim Disha mein Dahisar se lekar Churchgate ke beech sirf Sai Darshan Mandir, Malad (W) mein aap Khatuwale Shyam Baba ke Darshan kar sakte hain.

Puri Mumbai mein JIN MATA ke darshan aap sirf Sai Darshan Mandir me kar sakte hain.

"Darshan Aur Aarti Ka Samay"
"Darshan" Monday - Wednesday, Friday - Sunday.

Morning:- 05:00 am to 12:00 noon
Evening:- 04:00 pm to 10:00 pm

Thursdays - Morning 05:00am to 12:00 mid-night.

"Aarti" everday Morning 06:00 am & Evening 07:30 pm.

"Kakad Aarti" 05:00am Every Thursday

"Bhajan Sandhya"
Har Guruvar ko Sai Bhakto Dwara Bhajan Kirtan 9:00pm to 11:00pm

"Baba Ka Bhandra"

Har Shanivaar Baba Ka Bhandara lagta hai jisme takriban 500 logon ko Bhojan khilaya jata hai.

"Photo Gallery of Sai Darshan Mandir"

Images of Sai Baba Mandir.

"Jay Shree Shyam"

Dono Ekadashi par Khatuwale Shyam Baba ke Alokik Shringar ke Darshan.

Har Chotti Ekadashi par Bhajan Kirtan ka aayojan Shyam Seva Kendra Dwara raat 09:00 pm - 11:30pm Baje tak.

Har Badi Ekadashi par Bhakto dwara Shyam Baba ka Kirtan raat 09:00 pm - 11:30pm Baje tak Sai Darshan Mandir mein.

http://www.orkut.co.in/Main#AlbumZoom.aspx?uid=7095028011557124572&pid=1247480269952&aid=1247453208

Friday, July 24, 2009

"Holika Dahen"

Holika Dahen har saal mahurat ke hisab se Sai Baba Mandir ke prangan mein aur dusre din yani Duleti ke din bhakton ko thandai ka prasad diya jata hai.

http://www.orkut.co.in/Main#AlbumZoom.aspx?uid=7095028011557124572&pid=1236840641065&aid=1235964013$pid=1236840641065

"Jay Dadi Ki"

Har Amavasya ko "Rani Sati Dadiji" ka Mangal Paat 03:00pm - 6:00pm Mahila Mandal dwara Sai Darshan Mandir mein aayojit kiya jata hai.
http://www.orkut.co.in/Main#Album.aspx?uid=7095028011557124572&aid=1235964013

"Jai Mata Di"

Dono Navratra mein Asthmi ke din Havan aur uske baad 108 Kanyaon ka Pujan avam Prasad ka aayojan Sai Darshan Mandir mein kiya jata hai.

http://www.orkut.co.in/Main#AlbumZoom.aspx?uid=7095028011557124572&pid=1238826415377&aid=1238192189$pid=1238826415377

"Nand Ghar Anand Bhayo, Jay Kanhaiya Lal Ki"

Janamasthmi ke uplakshya me theek raat 12 bajkar 40 min par Lala ka Janam utsav Sai Darshan Mandir mein manaya jata hai.
http://www.orkut.co.in/Main#AlbumZoom.aspx?uid=7095028011557124572&pid=1236161821056&aid=1235964013$pid=1236161821056

"Om Namah Shivay"

Savan avam Shivratri mein Bhole Baba ka Jal Abhishekh, Rudra Abhishekh avam Pooja Archana Sai Darshan Mandir mein ki jati hai.
http://www.orkut.co.in/Main#Album.aspx?uid=7095028011557124572&aid=1248655860

"Ram Lakshman Janki Jai Bolo Hanuman Ki"

Ram Navmi ke parv par dupahar 12:00 baje Ram Janam ka utsav Sai Darshan Mandir mein manaya jata hai.
http://www.orkut.co.in/Main#Album.aspx?uid=7095028011557124572&aid=1238192189&p=6