
Aap Sabhi ko yeh batate hue bada harsh ho raha ki puri Mumbai mein "Jin Mata" ke pratham Mandir ki Isthapna Sai Darshan Mandir, Malad mein 24/06/2010 Guruvaar ke din hone jaa rahi hai..
Gaaje Baaje ke sath “Bhavya Shobha Yatra” Subah 9 baje Chincholi Hanuman Mandir, Malad (W) se aayojan sthal Shree Sai Darshan Mandir tak jayegi.
Dupehar 12 bajkar 3 min par pure vidhi vidhaan ke sath Jin Mata ki Istahpna ki jayegi.
Mataji ka Alokik Shringar, Jyot aur Chappan Bhog ke Darshan.
Shaam 4 baje se “Shree Jin Charitra Manas Mangal Paath” Shri Ujwal Khakoliya dwara .
Bhajan Sandhya Shaam 6 baje se Shri Satish Dehra & party avam Shri Rajuji Khandelwal dwara tatpaschat Mahaprasad..
Aap Sabhi Bhaktgan Sahparivaar Isht Mitro Sahit sadar Aamantrit hain..
Jai Jin Mata Ki..